0

Subhan Allah Parrot Reciting Holy Quran


Wase to ap ne suna ho ga k aik bohat chota bacha Quran Pak ki tilawat kar raha hai or bhi isi tarhan k bohat waqiyat hai jin per insane ko yaqeen karna mushkil hota hai per jo sachy musalman hoty hain or jo Allah per yaqeen rakhty hain wo ya sub batain sach manty hain kiun k onh ko pata hai k Allah pak kuch bhi kar sakty hain kiun k Allah pak hamara khaliq or malik hai. Wase to ap ne bhi suna hai or dekha bhi hai k bohat sary janwar Allah pak ka zikar karty hain. Pori kainat Allah pak ne banai hai is main Jo kuch bhi hai ya Allah ne banaya hai. Sub janwar, hewan, insane Allah ki ibadat karty hain.
Is tarhan animals ka bolna or tilawat karna kisi mojezy say kam nahi hai. Kiun k ya janwar hain ya insane ki zuban nahi bol sakty. Lakin jab Allah chahiy to sub kuch ho sakta hai chahiye WO namumkin kam he kiun na ho is video main aik tota (parrotQuran pak ki tilawat kar raha hai.
Ya aise lag raha hai jaise k fake ho lakin ya asali video hai ya Allah ki qudrat hai. Kiun k jab ham subah ko soo kar uthty hain to qareebi darakhto say cherio ki awazin a rahe hoti hai ham samjh rahy hoty hain k ya aise he bool rahe hai per asal main ya Allah pak ki ibadat kar rahe hoti hai.
Is he tarhan murga or murgi bhi Azan dety hain Jab subah hoti Hai? Aj is video say sabit ho gaya hai k waqaye he Allah pak khaliq or malik hai. Ya video dekh kar yaqeen howa hai k na sirf insan balky janwar bhi Allah pak ki ibadat karty hain or Allah pak ka name laty hai. To dosto ya video apny dosry musalman bhaio ko bhi share karo ta kay ya mojzah har koi dekh lay.



Post a Comment


I Love Hearing What My Readers Have To Say!

People Like You Have Helped To Make The Blog What Is Today!

So I Wanted To Thank You Personally For Sharing Your Thoughts.

I Read Comments First Thing In The Morning So Helpfully Yours Will Help Brighten Up My Day!

 
Top